Jun 2, 2011

Kya likhoon?

Kis geet mein kudrat bayaan karoon, aur kya bol likhoon,
qaaynaat ke baare mein kya kahoon, takhleeq ka kya mol likhoon,

Sur, jo hai rimjhim main, ya dhadkan ki taal likhoon,
ya panchiyon ki udaan ko kudrat ka kamaal likhoon,

Roz ek nayee subah, nayee shuruaat ki umang likhoon,
ya chaand par har roz naye ik rang ka rang likhoon

Ladakpan ki maasomiyat, ya jawani ki rawani likhoon,
ya ek se doosra hai, us ki kahani likhoon,

Phool jo khilte hain, aur mausam badalte hain,
unpe hairat karoon, ya baadalon ki bauchaar likhoon,

Aasmaan mein parinda, dariya mein machli,
jangal mein mrig, ya rooh mein rabb likhoon

Mohabbat ke ehsaas mein dil ki dhadkan,
aankhon ki muskan, ya khamoshi ki guftagu likhoon,

Main aur meri kahani, tum aur tumhari khushiyan,
woh aur uski dastaan, ya hum aur hamara wajood likhoon.

1 comment:

J said...

Nice one :-)
So original..